Lutfunnisa Imtiyaz

har nukta-e-butan hai ada saz-e-dil-fareb

Lutfunnisa Imtiyaz

Aurangabad, Maharashtra, India

1761
har nukta-e-butāñ hai adā sāz-e-dil-fareb
ḳhālī nahīñ tarab se ye hai nāz-e-dil-fareb
aise ThaToliyoñ se na kar be-qarār dil
jiine de koī dam tū ai tannāz-e-dil-fareb
shukr-e-ḳhudā phirā hai mirā nāma-bar shitāb
aa kaan meñ kahe hai ka.ī rāz-e-dil-fareb
hai ḳhauf-e-shādī marg na huuñ is ḳhushī se maiñ
us kī zabānī sunte ye āvāz-e-dil-fareb
dekhā hī kyā balā hai jo be-ḳhud hai 'imtiyāz'
kis kī nigāh-e-mast kā andāz-e-dil-fareb
ḳhāna-ḳharāb mujh se chhupāve hai kyuuñ batā
dekhūñ vo kaun hai tirā dam-sāz dil-fareb
bhar aah ro kahā ki vo mast-e-shabāb hai
miltā nahīñ kisī se ye e.azāz-e-dil-fareb
Top Urdushayar.com