dasht-e-vahshat meñ hamārā ab huā hai būd-o-bāsh
sar phirāne ko abas sayyād kartā hai talāsh
sarzanish aalam kī aur sañg-e-jafā tere se aah
shāyad ab mīnā-e-dil hotā hai zālim paash paash
ye abhī pal meñ tujhe barbād kar deñ mohtasib
dekh nāhaq mai-kashoñ ke bhed ko kartā hai faash
yuuñ dimāġh ab kis kā yaarī de jo shāyad kījiye
paas jā mun.im ke baiThe jo kabhī bahr-e-ma.āsh
sher kahne kā salīqa kuchh nahīñ hai 'imtiyāz'
hai magar itnā ki ye rakhtā hai Tuk ġham kā tarāsh