Iftikhar Naseem

KHud ko hujum-e-dahr mein khona paDa mujhe

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
ḳhud ko hujūm-e-dahr meñ khonā paḌā mujhe
jaise the log vaisā hī honā paḌā mujhe
dushman ko marte dekh ke logoñ ke sāmne
dil hañs rahā thā aañkh se ronā paḌā mujhe
kuchh is qadar the phuul zamīñ par khile hue
tāroñ ko āsmān meñ bonā paḌā mujhe
aisī shikast thī ki kaTī uñgliyoñ ke saath
kāñToñ kā ek haar pironā paḌā mujhe
kaarī nahīñ thā vaar magar ek umr tak
āb-e-namak se zaḳhm ko dhonā paḌā mujhe
āsāñ nahīñ hai likhnā ġham-e-dil kī vārdāt
apnā qalam lahū meñ Dubonā paḌā mujhe
itnī tavīl o sard shab-e-hijr thī 'nasīm'
kitnī hī baar jāgnā sonā paḌā mujhe
Top Urdushayar.com