sazā hī dī hai duāoñ meñ bhī asar de kar
zabān le gayā merī mujhe nazar de kar
ḳhud apne dil se miTā dī hai ḳhvāhish-e-parvāz
uḌā diyā hai magar us ko apne par de kar
nikal paḌe haiñ sabhī ab panāh-gāhoñ se
guzar ga.ī hai siyah shab ġham-e-sahar de kar
use maiñ apnī safā.ī meñ kyā bhalā kahtā
vo pūchhtā thā jo mohlat bhī muḳhtasar de kar
pukārtā huuñ ki tanhā maiñ rah gayā huuñ 'nasīm'
kahāñ gayā hai vo mujh ko mirī ḳhabar de kar