Iftikhar Naseem

kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
kisī ke haq meñ sahī faisla huā to hai
mirā nahīñ vo kisī shaḳhs kā huā to hai
yahī bahut hai ki us ne mujhe bhī miss to kiyā
ye lams mujh meñ abhī tak rachā huā to hai
use maiñ khul ke kabhī yaad kar to saktā huuñ
mujhe ḳhushī hai vo mujh se judā huā to hai
sukūt-e-shab hī sahī merā ham-safar lekin
mire sivā bhī koī jāgtā huā to hai
ghuTan ki baḌhtī chalī jā rahī hai andar kī
tamām ḳhush haiñ ki mausam khulā huā to hai
ye aur baat ki maiñ zinda rah gayā huuñ 'nasīm'
har ik sitam mirī jaañ par ravā huā to hai
Top Urdushayar.com