Iftikhar Naseem

ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
ban gayā hai jism guzre qāfiloñ kī gard sā
kitnā vīrāñ kar gayā mujh ko mirā hamdard sā
kyā abhī tak us kā rasta roktī hai koī soch
mere hāthoñ meñ hai us kā haath lekin sard sā
is tarah ghul-mil gayā aa kar na.e māhaul meñ
vo bhī ab lagtā hai mere ghar kā hī ik fard sā
jazb thā jaise koī sūraj hī us ke jism meñ
duur se vo sañg lagtā thā ba-zāhir sard sā
aaj tak āñkhoñ meñ hai manzar bichhaḌne kā 'nasīm'
pairahan melā sā us kā aur chehrā zard sā
Top Urdushayar.com