naam bhī jis kā zabāñ par thā duāoñ kī tarah
vo mujhe miltā rahā nā-āshnāoñ kī tarah
aa ki tere muntazir haiñ aaj bhī dīvār-o-dar
gūñjtā hai ghar meñ sannāTā sadāoñ kī tarah
vo shajar jaltā rahā ḳhud kis kaḌaktī dhuup meñ
jis kā saaya thā mire sar par ghaTāoñ kī tarah
jhuk rahe the baaġh ke sab phuul us ke sāmne
ghaas par baiThā thā vo farmāñ-ravāoñ kī tarah
maiñ bhalā kaise use ik ajnabī kah duuñ 'nasīm'
jis ne dekhā thā palaT kar āshnāoñ kī tarah