jilā-vatan huuñ mirā ghar pukārtā hai mujhe
udaas naam khulā dar pukārtā hai mujhe
kisī kī chaap musalsal sunā.ī detī hai
safar meñ koī barābar pukārtā hai mujhe
sadaf huuñ lahreñ dar-e-jism khaTkhaTātī haiñ
kanār-e-āb vo gauhar pukārtā hai mujhe
har ek moḌ mire paañv se lipaTtā hai
har ek miil kā patthar pukārtā hai mujhe
phañsā huā hai mire haath kī lakīroñ meñ
mirā humā-e-mqaddar pukārtā hai mujhe
na jaane kyā thā ki maiñ dūriyoñ meñ kho aayā
vo apne paas bulā kar pukārtā hai mujhe
chalī hai shām-e-shafaq-rañg bādbāñ le kar
dabīz shab kā samundar pukārtā hai mujhe
paroñ kā bojh jhaTak kar maiñ uḌ gayā huuñ 'nasīm'
zamīn par mirā paikar pukārtā hai mujhe