Iftikhar Naseem

gire hain lafz waraq pe lahu lahu ho kar

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
gire haiñ lafz varaq pe lahū lahū ho kar
mahāz-e-zīst se lauTā huuñ suraḳh-rū ho kar
usī kī diid ko ab raat din taḌapte haiñ
ki jis se baat na kī ham ne dū-badū ho kar
bujhā charāġh hai dil kā vagarna kaise mujhe
nazar na aa.egā vo mere chaar sū ho kar
ham apne aap hī mujrim haiñ apne munsif bhī
ḳhud e'tirāf kareñ apne rū-ba-rū ho kar
us ek ḳhvāhish-e-dil kā patā chalā na use
jo darmiyāñ meñ rahī sirf guftugū ho kar
maiñ sab meñ rahte hue kis tarah bhulā.ūñ tujhe
har ek shaḳhs hī miltā hai mujh ko tū ho kar
ab us ke sāmne jaate hue bhī Dartā huuñ
bhulā diyā thā jise mahv-e-justujū ho kar
huī na jazb zamīñ meñ to raat kī bārish
fazā meñ phail ga.ī ḳhaak rañg-o-bū ho kar
miTā jo aañkh ke shīshoñ se us kā aks 'nasīm'
ragoñ meñ phail gayā ḳhuuñ kī aarzū ho kar
Top Urdushayar.com