is tarah soī haiñ āñkheñ jāgte sapnoñ ke saath
ḳhvāhisheñ lipTī hoñ jaise band darvāzoñ ke saath
rāt-bhar hotā rahā hai us ke aane kā gumāñ
aise Takrātī rahī ThanDī havā pardoñ ke saath
ek lamhe kā ta.alluq umr bhar kā rog hai
dauḌte phirte rahoge bhāgte lamhoñ ke saath
maiñ use āvāz de kar bhī bulā saktā na thā
is tarah TuuTe zabāñ ke rābte lafzoñ ke saath
ek sannāTā hai phir bhī har taraf ik shor hai
kitne chehre aañkh meñ phaile haiñ āvāzoñ ke saath
jānī-pahchānī haiñ bāteñ jāne-būjhe naqsh haiñ
phir bhī miltā hai vo sab se muḳhtalif chehroñ ke saath
dil dhaḌaktā hī nahīñ hai us ko pā kar bhī 'nasīm'
kis qadar mānūs hai ye nit-na.e sadmoñ ke saath