is qadar bhī to na jazbāt pe qaabū rakkho
thak ga.e ho to mire kāñdhe pe baazū rakkho
bhūlne paa.e na is dasht kī vahshat dil se
shahr ke biich raho baaġh meñ aahū rakkho
ḳhushk ho jā.egī rote hue sahrā kī tarah
kuchh bachā kar bhī to is aañkh meñ aañsū rakkho
raushnī hogī to aa jā.egā rah-rav dil kā
us kī yādoñ ke diye taaq meñ har-sū rakkho
yaad aa.egī tumhārī hī safar meñ us ko
us ke rūmāl meñ ik achchhī sī ḳhushbū rakkho
ab vo mahbūb nahīñ apnā magar dost to hai
us se ye ek ta.alluq hī bahar-sū rakkho