mish.al-e-ummīd thāmo rahnumā jaisā bhī hai
ab to chalnā hī paḌegā rāstā jaisā bhī hai
kis liye sar ko jhukā.eñ ajnabī ke sāmne
us se ham vāqif to haiñ apnā ḳhudā jaisā bhī hai
kis ko fursat thī hujūm-e-shauq meñ jo sochtā
dil ne us ko chun liyā vo bevafā jaisā bhī hai
saarī duniyā meñ vo mere vāste bas ek hai
phuul sā chehra hai vo yā chāñd sā jaisā bhī hai
fasl-e-gul meñ bhī dikhātā hai ḳhizāñ-dīda-daraḳht
TuuT kar dene pe aa.e to ghaTā jaisā bhī hai