Iftikhar Naseem

na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
na jaane kab vo palaT aa.eñ dar khulā rakhnā
ga.e hue ke liye dil meñ kuchh jagah rakhnā
hazār talḳh hoñ yādeñ magar vo jab bhī mile
zabāñ pe achchhe dinoñ kā hī zā.iqa rakhnā
na ho ki qurb hī phir marg-e-rabt ban jaa.e
vo ab mile to zarā us se fāsla rakhnā
utaar pheñk de ḳhush-fahmiyoñ ke saare ġhilāf
jo shaḳhs bhuul gayā us ko yaad kyā rakhnā
abhī na ilm ho us ko lahū kī lazzat kā
ye raaz us se bahut der tak chhupā rakhnā
kabhī na laanā masā.il gharoñ ke daftar meñ
ye donoñ pahlū hamesha judā judā rakhnā
uḌā diyā hai jise chuum kar havā meñ 'nasīm'
use hamesha hifāzat meñ ai ḳhudā rakhnā
Top Urdushayar.com