abhī to dil meñ hai jo kuchh bayān karnā hai
ye baad meñ sahī kis baat se mukarnā hai
tū mere saath kahāñ tak chalegā mere ġhazāl
maiñ rāsta huuñ mujhe shahr se guzarnā hai
kanār-e-āb maiñ kab tak ginūñgā lahroñ ko
hai shaam sar pe mujhe paar bhī utarnā hai
abhī to maiñ ne havāoñ meñ rañg bharne haiñ
abhī to maiñ ne ufuq dar ufuq bikharnā hai
diler haiñ ki abhī dostoñ meñ baiThe haiñ
gharoñ ko jaate hue saa.e se bhī Darnā hai
maiñ muntazir huuñ kisī haath kā banāyā huā
ki us ne mujh meñ abhī aur rañg bharnā hai
hazār sadiyoñ kī roñdī huī zamīñ hai 'nasīm'
nahīñ huuñ maiñ ki jise pahlā paañv dharnā hai