Iftikhar Naseem

apni majburi batata raha ro kar mujhko

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
apnī majbūrī batātā rahā ro kar mujh ko
vo milā bhī to kisī aur kā ho kar mujh ko
maiñ ḳhudā to nahīñ jo us ko dikhā.ī na diyā
DhūñDhtā merā pujārī kabhī kho kar mujh ko
pā liyā jis ne tah-e-āb bhī apnā sāhil
mutma.in thā mirā tūfān Dubo kar mujh ko
reg-e-sāhil pe likhī vaqt kī tahrīr huuñ maiñ
mauj aa.e to chalī jā.egī dho kar mujh ko
niiñd hī jaise koī kunj-e-amāñ hai ab to
chain miltā hai bahut der se so kar mujh ko
fasl-e-gul ho to nikāle mujhe is barzaḳh se
bhuul jaa.e na tah-e-sañg vo bo kar mujh ko
Top Urdushayar.com