Iftikhar Naseem

hath hathon mein na de baat hi karta jae

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
haath hāthoñ meñ na de baat hī kartā jaa.e
hai bahut lambā safar yuuñ to na Dartā jaa.e
jī meñ Thānī hai ki jiinā hai bahar-hāl mujhe
jis ko marnā hai vo chup-chāp hī martā jaa.e
ḳhud ko mazbūt banā rakkhe pahāḌoñ kī tarah
ret kā aadmī andar se bikhartā jaa.e
surḳh phūloñ kā nahīñ zard udāsī kā sahī
rañg kuchh to mirī tasvīr meñ bhartā jaa.e
mujh se nafrat hai agar us ko to iz.hār kare
kab maiñ kahtā huuñ mujhe pyaar hī kartā jaa.e
ghar kī dīvār ko itnā bhī tū ūñchā na banā
terā ham-sāya tire saa.e se Dartā jaa.e
Top Urdushayar.com