sarā.e chhoḌ ke vo phir kabhī nahīñ aayā
chalā gayā jo musāfir kabhī nahīñ aayā
har ek shai mire ghar meñ usī ke zauq kī hai
jo mere ghar meñ ba-zāhir kabhī nahīñ aayā
ye kaun mujh ko adhūrā banā ke chhoḌ gayā
palaT ke merā musavvir kabhī nahīñ aayā
makāñ huuñ jis meñ koī bhī makīñ nahīñ rahtā
shajar huuñ jis pe ki taa.ir kabhī nahīñ aayā