terī āñkhoñ kī chamak bas aur ik pal hai abhī
dekh le is chāñd ko kuchh duur bādal hai abhī
aañkh to ḳhud ko na.e chehroñ meñ kho kar rah ga.ī
dil magar us shaḳhs ke jaane se bojhal hai abhī
ab talak chehre pe haiñ tūfāñ guzarne ke nishāñ
tah meñ patthar jā chukā paanī pe halchal hai abhī
tū to un kā bhī gila kartā hai jo tere na the
tū ne dekhā hī nahīñ kuchh bhī tū pāgal hai abhī
kar gayā sūraj mujhe tanhā kahāñ lā kar 'nasīm'
kyā karūñ maiñ rāste meñ shab kā jañgal hai abhī