ḳhāk-zāde ḳhaak meñ yā ḳhaak par haiñ aaj bhī
sāmne ik kūza-gar ke chaak par haiñ aaj bhī
ye na jaanā kis taraf se aa.ī chiñgārī magar
tohmateñ saarī ḳhas-o-ḳhāshāk par haiñ aaj bhī
jis takabbur kī badaulat chhin ga.e un ke huqūq
is ke asrāt-e-ra.ūnat naak par haiñ aaj bhī
maiñ ne rattī-bhar nizām-e-fikr ko badlā nahīñ
munhasir afkār sab idrāk par haiñ aaj bhī
jo azal se haiñ safīr uryāniyat ke un ke bhī
zāviye sab soch ke poshāk par haiñ aaj bhī
merā chehra jaisā thā vaisā dikhāyā ai 'zamīr'
sab yaqīn ā.īna-e-be-bāk par haiñ aaj bhī