Zameer Atraulvi

rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain

Zameer Atraulvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1959
rāhatoñ ke dhoke meñ iztirāb DhūñDe haiñ
ham ne apnī ḳhātir hī ḳhud azaab DhūñDe haiñ
ye to us kī aadat hai roz gul masaltā hai
aaj bhī masalne ko kuchh gulāb DhūñDe haiñ
raat āñdhī aane par uḌ ga.e the ḳheme sab
ġhāfiloñ ne mushkil se kuchh tanāb DhūñDe haiñ
terī hukmarānī bhī ḳhatm hone vaalī hai
ham ne kuchh kitāboñ meñ inqalāb DhūñDe haiñ
mere kuchh savāloñ ke tum ne ek muddat meñ
mas.aloñ se haT kar hī kyuuñ javāb DhūñDe haiñ
kaale kārnāme aur kaalā muñh chhupāne ko
kuchh safed-poshoñ ne kuchh naqāb DhūñDe haiñ
dekhiye 'zamīr' ham bhī haiñ ajab hī dīvāne
chhoḌ kar haqīqat ko ham javāb DhūñDe haiñ
Top Urdushayar.com