Zameer Atraulvi

amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai

Zameer Atraulvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1959
amīroñ ke bure atvār ko jo Thiik samjhe hai
mirī haq baat ko vo qābil-e-tashkīk samjhe hai
bahut mushkil hai jo us kī ġharībī duur ho jaa.e
ajab ḳhuddār hai imdād ko bhī bhiik samjhe hai
mire baare meñ us ke kaan bhartā hai koī shāyad
bayāñ tausīf kartā huuñ to vo taz.hīk samjhe hai
tire ḳhat terī tasvīreñ shikasta-dil ke kuchh TukḌe
tirā dīvāna in sab ko tirī tamlīk samjhe hai
maiñ us ke har gumāñ kā paas akasr rakkhā kartā huuñ
mirā dil apne dil ke vo bahut nazdīk samjhe hai
chale hai is tarah jaise chale talvār par koī
vo merī rahguzar ko jaane kyuuñ bārīk samjhe hai
siyāsat ke añdheroñ ne ujāle sab nigal Daale
ġharīb insān din ko bhī shab-e-tārīk samjhe hai
Top Urdushayar.com