Zameer Atraulvi

ye kaisa kaam ai dast-e-masih kar Dala

Zameer Atraulvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1959

ye kaisā kaam ai dast-e-masīh kar Daalā

jo dil zaḳhm thā vo sahīh kar Daalā

shab-e-siyāh chehra udaas dekhā to

nikal ke chāñd ne us ko malīh kar Daalā

zarā jhāñk ke tārīkiyoñ se sūraj ne

malīh chehra-e-shab ko sabīh kar Daalā

maiñ kaise aql paikar samajh luuñ insāñ ko

ḳhud apnī ziist ko jis ne qabīh kar Daalā

kal us ne chheḌ ke mahfil meñ tazkira merā

har ek aib-o-hunar ko sarīh kar Daalā

tumhārī dāstāñ uljhī huī thī vahmoñ meñ

duā.eñ do hameñ ham ne fasīh kar Daalā

Top Urdushayar.com