kamāñ pe chaḌh ke ba-shakl-e-ḳhadañg honā paḌā
harīf-e-amn se masrūf-e-jañg honā paḌā
yahāñ thī dushmanī insāñ se pyaar patthar se
mujhe bhī āḳhirash ik roz sañg honā paḌā
hasad kī aag meñ jal jal ke log marne lage
mujhe sameT ke vus.at ko tañg honā paḌā
rahā jo bar-sar-e-paikār meñ muqaddar se
to us harīf ko hairān-o-dañg honā paḌā
zamāna roz mirā zabt āzmātā thā
mare mizāj ko yuuñ shola-rañg honā paḌā
bahut ġhurūr thā pairāk hone kā jin ko
unheñ 'zamīr' shikār-e-nahañg honā paḌā