Auj lakhnavi

chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha

Auj lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1853-1917
chār-sū ālam-e-imkāñ meñ añdherā dekhā
tū jidhar hai usī jānib ko ujālā dekhā
us pe qurbān ki jis ne tirī āvāz sunī
sadqe us aañkh ke jis ne tirā jalva dekhā
ḳhalvat-e-quds kī be-parda tajallī ko na pūchh
shauq-e-nazzāra meñ sirf aañkh kā parda dekhā
aañkh jab band huī khul gayā rāz-e-qudrat
shān-e-ma.abūd añdhere meñ ujālā dekhā
parda uTh jā.egā jab rū-e-tajallī se kalīm
aap ḳhud muñh se kaheñge ki abhī kyā dekhā
rū-e-gul rañg-e-ḳhizāñ josh-e-junūñ fasl-e-bahār
chaar din ke liye is baaġh meñ kyā kyā dekhā
'auj' kaj-baḳhtī-e-arbāb-e-suḳhan se kyā bahs
dāman-e-gul kabhī kāñToñ meñ na uljhā dekhā
Top Urdushayar.com