Auj lakhnavi

KHwahishen duniya ki bar-e-dosh-o-gardan ho gain

Auj lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1853-1917
ḳhvāhisheñ duniyā kī bār-e-dosh-o-gardan ho ga.iiñ
rafta rafta manzil-e-uqbā kī rahzan ho ga.iiñ
ye havā kaisī chalī is tañgnā-e-dahr meñ
shahr jañgal ho ga.e ābādiyāñ ban ho ga.iiñ
chal sū-e-gor-e-garībāñ ai harīs-e-māl-o-zar
dekh kitnī ārzūeñ nazr-e-madfan ho ga.iiñ
kaisī rañgā-rañg shakleñ hoñgī ai josh-e-bahār
miT ke jo gulgūna-e-ruḳhsār-e-gulshan ho ga.iiñ
khul nahīñ saktī kabhī kaifiyyat-e-buġhz-o-hasad
merī aaheñ parda-e-nāmūs-e-dushman ho ga.iiñ
mere naġhmoñ ne jo paa.ī qalb-e-gulshan meñ jagah
shāḳh-e-gul par bulbuleñ bār-e-nasheman ho ga.iiñ
jab mire naale hue qadd-e-sanobar se buland
bulbuleñ sākit sar-e-dīvār-e-gulshan ho ga.iiñ
jāma-e-hastī huā sad-chāk jab misl-e-sahr
zīnateñ duniyā kī gardā-gard-e-dāman ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com