manzar kī dīvār ke pīchhe ik manzar
kaalī chādar se muñh Dhāñpe ik manzar
maiñ jaise hī ik manzar taḳhlīq karūñ
aa kar fauran us ko kaaTe ik manzar
chehra paḌhnā chāhūñ to ojhal ho jaa.e
duur khaḌā phir haath hilā.e ik manzar
ik manzar chāqū se guude jism mirā
phir aa kar zaḳhmoñ ko chāTe ik manzar
ik manzar meñ saañp gale se aa lipTe
phir rag rag meñ zahr utāre ik manzar
biich bhañvar surāḳhoñ vaalī ik kashtī
mujhe mirī pahchān karā.e ik manzar
kab tak āñkheñ nīchī kar ke guzroge
aate jaate raah meñ Toke ik manzar
dhartī aur ākāsh pareshāñ donoñ haiñ
ek sā aalam uupar nīche ik manzar
ho saktā hai ik manzar kā ho jā.ūñ
aa kar āñkhoñ meñ chubh jaa.e ik manzar