miTāte jaate haiñ jo bhī nishāñ banāte haiñ
ham apne pīchhe kahāñ kārvāñ banāte haiñ
ham apne haath se apnā jahāñ banāte haiñ
sitāre gaḌhte haiñ aur kahkashāñ banāte haiñ
majāl kyā jo kisī gul ko chhū le bād-e-sumūm
ham apne tarz-e-amal se ḳhizāñ banāte haiñ
hamāre haath magar be-gharī hī lagtī hai
zamīñ banāte haiñ ham āsmāñ banāte haiñ
unheñ sambhāl ke rakhnā havā na denā tum
hamāre sher ye chiñgāriyāñ banāte haiñ
yaqīn rakkho ye manzar badalne vaalā hai
sharār uḌne se pahle dhuāñ banāte haiñ
kueñ se pyaas kā rishta koī nayā hai kyā
banāne vaale abas dāstāñ banāte haiñ
nayā banāne kī dhun meñ pata nahīñ chaltā
kahāñ bigāḌte haiñ aur kahāñ banāte haiñ
kisī buzurg kī sohbat meñ baiThte haiñ 'talab'
balā kī dhuup hai ab sā.ebāñ banāte haiñ