lagtā hai pech-o-tāb ke aage kuchh aur hai
is shor-e-inqalāb ke aage kuchh aur hai
be-shak mire savāl ke pīchhe hai aur baat
kyā tere is javāb ke aage kuchh aur hai
har chand merī āñkhoñ ne dekhā nahīñ hunūz
lekin tilism-e-ḳhvāb ke aage kuchh aur hai
jo tujh se ḳhush-jamāl hai aur dil-fareb bhī
duniyā tire shabāb ke aage kuchh aur hai
uḌtā huā uqaab to āñkhoñ meñ qaid hai
ab dekhiye uqaab ke aage kuchh aur hai
haañ jis se us zamīñ kā tavāzun hai barqarār
din raat ke azaab ke aage kuchh aur hai
parda paḌā huā hai mirī aañkh par talab
yā barq-o-āftāb ke aage kuchh aur hai