na maiñ dariyā na mujh meñ zo.am koī be-karānī kā
ki maiñ huuñ bulbule kī shakl meñ ehsās paanī kā
mohabbat meñ tirī apnī zabāñ ko sī liyā maiñ ne
asar zaa.il na ho jaa.e tirī jādū-bayānī kā
ajab kyā hai jo merī dāstān-e-ḳhūñ-chakāñ se bhī
koī pahlū nikal aa.e kisī kī shādmānī kā
maiñ apne paañv kī zanjīr ik din ḳhud hī kāTūñgā
hadaf banñā nahīñ mujh ko kisī kī mehrbānī kā
tumhāre sāmne aa.uuñ tumheñ apnī safā.ī duuñ
sabab ma.alūm ho tab nā tumhārī bad-gumānī kā
mirā siina hazāroñ chīḳhtī rūhoñ kā maskan hai
vasīla huuñ maiñ gūñgī hasratoñ kī tarjumānī kā
hamārā ahd bhī likkhe alif-lailā ke jaisā kuchh
badalnā chāhiye ab rañg kuchh qissa-kahānī kā
nahīñ tere liye ye do minute kī chup nahīñ kaafī
tirā ġham mustahiq hai umr bhī kī nauha-ḳhvānī kā
mirī tā.īd meñ bhī ab kisī kā hoñT to kāñpe
koī to dard bāñTe aa.e merī be-zabānī kā