tamāsha rahguzar-dar-rahguzar afsos kā hai
bhale hī ḳhush haiñ sab lekin safar afsos kā hai
bahishtī baaġh kī sab titliyāñ haiñ par-burīda
shikasta rañg tā-hadd-e-nazar afsos kā hai
abhī itrā rahe haiñ ssakinān-e-qasr-shāhī
abhī āñkhoñ se un ke mahv ghar afsos kā hai
havelī ab kahāñ jo qahqahoñ se gūñjtī thī
jahāñ tak dekhtā huuñ maiñ khañDar afsos kā hai
kahāñ mumkin tire ishrat-kade meñ shaam kāTeñ
abhī to sāmnā har gaam par afsos kā hai
azīzo aao ab ik al-vidā.ī jashn kar leñ
ki is ke ba.ad ik lambā safar afsos kā hai