shadīd habs meñ rāhat havā se hotī hai
bahāl apnī tabī.at havā se hotī hai
koī charāg jalātā nahīñ salīqe se
magar sabhī ko shikāyat havā se hotī hai
lachak ke TuuT na jaa.e kahīñ ye shāḳh-e-badan
chale jo tez to vahshat havā se hotī hai
kahīñ dhuveñ ke sivā kuchh nazar nahīñ aatā
kabhī kabhī vo sharārat havā se hotī hai
havā se kah do ki kuchh der ko Thahar jaa.e
ḳhajil hamārī ibārat havā se hotī hai
azal se us kī tabī.at meñ sar-kashī hai 'talab'
kahāñ kisī kī itā.at havā se hotī hai