havā to hai hī muḳhālif mujhe Darātā hai kyā
havā se pūchh ke koī diye jalātā hai kyā
guhar jo haiñ tah-e-dariyā to sañg-o-ḳhisht bhī haiñ
ye dekhnā hai mirī dastaras meñ aatā hai kyā
navāh-e-jāñ meñ jo chaltī hai kaisī āñdhī hai
diye kī lo kī tarah mujh meñ thartharātā hai kyā
gale meñ naam kī taḳhtī gulāb rakhte haiñ
charāg apnā ta.āruf kahīñ karātā hai kyā
nishān-e-qabr bhī chhoḌā nahīñ raqābat ne
kisī ko aise koī ḳhaak meñ milātā hai kyā
fanā ke ba.ad hī miltī hai zindagī ko davā
'talab' ye ramz tumhārī samajh meñ aatā hai kyā