badan hai sabz aur shādāb lekin ruuh pyāsī hai
mire andar hazāroñ bāñjh peḌoñ kī udāsī hai
kisī ke dil se ab jazbāt kā rishta nahīñ qaa.em
hañsī bhī maslahat-āmez aañsū bhī siyāsī hai
pa.e-iz.hār kuchh aisā nahīñ hai jo anokhā ho
har ik jazba purānā hai har ik ehsās baasī hai
hameñ har vaqt ye ehsās dāman-gīr rahtā hai
paḌe haiñ Dher saare kaam aur mohlat zarā sī hai
simaT kar rah ga.ī hai vus.at-e-duniyā hathelī bhar
hamārā mas.ala ab bhī hamārī ḳhud-shanāsī hai
lagā huuñ maiñ 'talab' is sach ko jhuTlāne meñ barsoñ se
maiñ kal aaqā thā jis kā ab mire beTe kī daasī hai