vo jis ne Dhaal diyā barf ko sharāre meñ
maiñ kab se soch rahā huuñ usī ke baare meñ
na jaane niiñd se kab ghar ke log jāgeñge
ki ab to dhuup chalī aa.ī hai osāre meñ
maiñ jaag jaag ke shab bhar use talāshtā huuñ
likhā huā hai mirā naam ik sitāre meñ
khilegī dhuup to vaadī kā rañg nikhregā
abhī to os kī ik dhund hai nazāre meñ
kabhī dimāġh ko ḳhātir meñ ham ne laayā nahīñ
ham ahl-e-dil the hamesha rahe ḳhasāre meñ
'talab' ye soch ke lag jaa.e na zabān meñ zañg
kisī se baat maiñ kartā nahīñ ishāre meñ