sabab us kī pareshānī kā maiñ huuñ
namak kī fasl vo paanī kā maiñ huuñ
ye jañgal mujh ko raas aanā nahīñ hai
parinda dasht-e-imkānī kā maiñ huuñ
mirī mushkil mirī mushkil nahīñ hai
vasīla terī āsānī kā maiñ huuñ
mujhe duniyā luTā degī koī din
asāsa ālam-e-fānī kā maiñ huuñ
abhī sāhil mirā rasta na dekhe
abhī dariyā kī tuġhyānī kā maiñ huuñ
vahīñ mujh ko supurd-e-ḳhāk karnā
ki jis ḳhāk-bayānī kā maiñ huuñ
mire hone kā kuchh matlab to hogā
to kyā bekār be-ma.anī kā maiñ huuñ
faqīrāna tabī.at kā huuñ varna
''talab'' haqdār sultānī kā maiñ huuñ