kahāñ kisī kā banāyā huā banāte haiñ
nayā banāte haiñ jab ham nayā banāte haiñ
kisī kā naqsh banāte haiñ lauh-e-dil par ham
kisī kā aks sar-e-ā.īna banāte haiñ
nayā banāne kī hasrat kabhī nahīñ martī
na.e sire se na.e ko nayā banāte haiñ
maiñ ik zamīn huuñ amn-o-amāñ kī mutlāshī
mire aziiz mujhe karbalā banāte haiñ
hamārī dasht-navardī ko gumrahī na samajh
bhaTakne vaale nayā rāsta banāte haiñ
kahīñ bhī jaa.eñ kisī shahr meñ sukūnat ho
ham apnī tarz kī aab o havā banāte haiñ
zamīneñ tañg huī jā rahī haiñ dil kī tarah
ham ab makān nahīñ maqbara banāte haiñ
''talab'' jo log qanā.at-pasand hote haiñ
vo zindagī ko kahāñ mas.ala banāte haiñ