Khurshid Talab

ye junun ke marke itne nahin aasan bhi

Khurshid Talab

Bokaro, Jharkhand, India

ye junūñ ke ma.arke itne nahīñ āsān bhī

soch lenā is meñ saktī hai terī jaan bhī

raushnī bhī chāhiye taaza havā ke saath saath

khiḌkiyāñ rakhtā huuñ apne ghar meñ roshan-dān bhī

zindagī meñ jo tumheñ ḳhud se ziyāda the aziiz

un se milne kyā kabhī jaate ho qabristān bhī

gaañv pagDañDiyāñ pakkī saḌak se milīñ

tañg galiyoñ meñ badal kar rah ga.e maidān bhī

pāsbān-e-aql ne to mujh ko samjhāyā bahut

thā magar pahlū meñ mere dil ik nādān bhī

ḳhushk haiñ dariyā samundar kaT ga.e jañgal tamām

ret se ḳhālī hue jaate haiñ registān bhī

mere lafzoñ ke ujāle maañd paḌte jā.eñge

dhund meñ kho jā.egī ik din mirī pahchān bhī

ḳhud ko kaise qatl hone se bachātā meñ 'talab'

raat mere ghar meñ ik qātil thā aur mehmān bhī

Top Urdushayar.com