Tripurari

zindagani ka koi bab samajh lo laDki

Tripurari

Samastipur, Bihar, India

1986
zindagānī kā koī baab samajh lo laḌkī
bhuul hī jaao mujhe ḳhvāb samajh lo laḌkī
ishq karne kī hai ḳhvāhish ye maiñ samjhā lekin
tum mire jism ke ādāb samajh lo laḌkī
vasl kī raat vo maiñ ne jise ta.amīr kiyā
hasrat-e-ishq kī mehrāb samajh lo laḌkī
tum ne barsāt ke mausam meñ jise dekhā thā
vo hai sūkhā huā tālāb samajh lo laḌkī
ishq insān meñ aurat ko jagā detā hai
log ho jaate haiñ shādāb samajh lo laḌkī
merī banjar huī āñkhoñ pe yaqīñ mat karnā
ye bhī lā saktī haiñ sailāb samajh lo laḌkī
aaj kal tum jo ye mahsūs kiyā kartī ho
tajraba hai koī nāyāb samajh lo laḌkī
ye jo dīvān mire naam se chhap kar aayā
tum ise zehn kā ḳhūnāb samajh lo laḌkī
Top Urdushayar.com