bāġhmatī ke paas hī koī eraut gaañv hai
janm mirā vahīñ huā vo hī to ek Thāñv hai
date thī chaar march aur saal thā vo chhiyāsī kā
paak sī is zamīn par maiñ ne rakhā jo paañv hai
log vahāñ pe aise haiñ jaise nadī kā niir ho
log kuchh aise bhī haiñ jo baat karo to daañv hai
gaañv meñ kuchh daraḳht haiñ aur udaas aurteñ
vo jo udaas aurteñ haiñ vo hī asl chhāñv hai
gaañv ke ek chhor par laash mirī hai jal rahī
paas hī ek peḌ par kaag kī kaañv kaañv hai