bhāḌe kā ik makāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
apnā hī mehmāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
koī batā.e mujh ko zinda huuñ mar chukā huuñ
gar huuñ to maiñ kahāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
kuchh bhī nahīñ bachā hai bas duur tak ḳhalā hai
kyā maiñ hī āsmāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
tum mere darmiyāñ ho mujh ko pata hai lekin
maiñ kis ke darmiyāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
kuchh sau arab sitāre mujh meñ haiñ dafn ya.anī
maiñ ek kahkashāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
apne hī zehn-o-dil par chhāyā huā huuñ kab se
bādal huuñ yā dhuāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
koī ḳhayāl huuñ maiñ yā phir savāl huuñ maiñ
maiñ kaun sā samāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai
kirdār mar chuke haiñ lekin maiñ jī rahā huuñ
maiñ kaisī dāstāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai