Tripurari

tajraba jo bhi hai mera main wahi likhta hun

Tripurari

Samastipur, Bihar, India

1986
tajraba jo bhī hai merā maiñ vahī likhtā huuñ
maiñ tasavvur ke bharose pe nahīñ baiThā huuñ
jab maiñ bāhar se baḌā saḳht nazar ā.ūñgā
tum samajhnā ki maiñ andar se bahut TuuTā huuñ
jis kī ḳhushbū mujhe mismār kiyā kartī hai
maiñ usī qabr pe phūloñ kī tarah khiltā huuñ
bārhā jism ne phir zehan ne bechā hai mujhe
kyā maiñ qudrat kī dukānoñ meñ rakhā saudā huuñ
merā TuuTā huā chashma hī bharosa hai mirā
apnī āñkhoñ se apāhij maiñ koī bachcha huuñ
Dūbtā dekh rahā huuñ maiñ ḳhudī meñ ḳhud ko
dil kī ik bench pe baiThā huā maiñ hañstā huuñ
Top Urdushayar.com