Tripurari

kabhi kisi ne jo dil dukhaya to dil ko samjha gai udasi

Tripurari

Samastipur, Bihar, India

1986
kabhī kisī ne jo dil dukhāyā to dil ko samjhā ga.ī udāsī
mohabbatoñ ke usuul saare hameñ bhī sikhlā ga.ī udāsī
tumheñ jo sochā to mere dil se udāsiyoñ kā hujūm guzrā
kabhī kabhī to huā hai yuuñ bhī ki be-sabab chhā ga.ī udāsī
paḌī huī thī niDhāl ho kar hamārī āñkhoñ ke āñganoñ meñ
kisī kī aahaT sunī to chauñkī zarā sī ghabrā ga.ī udāsī
zarā sī duurī pe baiTh kar vo nigāh mujh se milā rahī thī
jo apnī bāñhoñ meñ bhar liyā to adā se sharmā ga.ī udāsī
vo daur bhī thā ki fāsloñ se guzar rahī thī nadī kī sūrat
na jaane kis kī duā hai yāroñ ki mujh meñ bhī aa ga.ī udāsī
na jaane kin pahluoñ meñ rah kar huī hai gahrī mirī udāsī
na jaane kin kin laboñ se pī kar ye zindagī pā ga.ī udāsī
milī thī jis din lagā thā yuuñ ke nahīñ banegī kabhī hamārī
jo saath ham ne bitā.e kuchh din to ek din bhā ga.ī udāsī
Top Urdushayar.com