dāman ko us ke khīñcheñ aġhyār sab taraf se
aur aah ham ye khīñcheñ āzār sab taraf se
jab kām-e-dil na hargiz hāsil huā kahīñ se
dil ko uThā ke baiThe nā-chār sab taraf se
jī chāhtā hai is ke kūche meñ baiTh rahiye
kar tark-e-āshnā.ī yakbār sab taraf se
tujh paas bhī na aaveñ ham ab to jaa.eñ kīdhar
tū ne to ham ko khoyā ai yaar sab taraf se
mizhgāñ se us ke kyūñkar dil chhuT sake hamārā
ghere hue haiñ is ko ve ḳhaar sab taraf se
parde hazār hoveñ haa.il pa husn us kā
detā hai tāliboñ ko dīdār sab taraf se
konā bhī ek dil kā sābit nahīñ ye kis ne
is ghar ko kar diyā hai mismār sab taraf se
naala za.iif apnā pahuñchegā kyūñki vaañ tak
kī hai buland us ne dīvār sab taraf se
ik baar to azīzāñ tum mil ke haal merā
kar baiTho us ke aage iz.hār sab taraf se
dīvāna ho ke chhūTā duniyā se varna yārāñ
hote gale ke mere tum haar sab taraf se
ve din bhī aah koī kyā the ki jin dinoñ meñ
dil ko ḳhushī thī apne dildār sab taraf se
bas tere ġham meñ aa kar ab ḳhaak ho ga.e ham
dil bujh gayā hamārā ik baar sab taraf se
zikr-e-vafā-o-ulfat mat chheḌ bas 'hasan' ab
jī ho rahā hai apnā bezār sab taraf se