Meer Hasan

araq ko dekh munh par tere pyare

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
araq ko dekh muñh par tere pyāre
falak ko piiTh de baiThe haiñ taare
kabhī vo din bhī hovegā ki jis din
gale se phir mileñge ham tumhāre
chaman meñ kis ne dil ḳhālī kiyā hai
lahū se jo bhare haiñ phuul saare
nahīñ hotī mayassar vasl kī raat
chale jaate haiñ yuuñ hī din hamāre
raqīboñ ko mileñ gul aur hameñ daaġh
'hasan' kyā baḳht ulTe haiñ hamāre
Top Urdushayar.com