Meer Hasan

wo dilbari ka uski jo kuchh haal hai so hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
vo dilbarī kā us kī jo kuchh haal hai so hai
aur apnī dil-dahī kā jo ahvāl hai so hai
mat pūchh us kī zulf kī uljheḌe kā bayān
ye merī jaan ke liye janjāl hai so hai
nekī badī kā koī kisī ke nahīñ sharīk
jo apnā apnā nāma-e-a.amāl hai so hai
pis jaa.e koī ho yā ki pāmāl us ko kyā
is gardish-e-falak kī jo kuchh chaal hai so hai
ve hī alam meñ aahoñ ke vaisī hī fauj-e-ashk
ab tak ġham-o-alam kā jo iqbāl hai so hai
aisā to vo nahīñ jo mirā chārasāz ho
phir fā.eda kahe se jo kuchh haal hai so hai
shikva mujhe to sozan-e-mizhgāñ se kuchh nahīñ
dil ḳhaar ḳhaar aah se ġhirbāl hai so hai
naqsh-e-qadam kī tarah 'hasan' us kī raah meñ
apnā ye dil sadā se jo pāmāl hai so hai
Top Urdushayar.com