tiir par tiir lage to bhī na paikāñ nikle
yārab is ghar meñ jo aave na vo mehmāñ nikle
nek-o-bad meñ jo nahīñ jañg adam meñ to bhalā
kyuuñ gul o ḳhaar baham dast-o-garebāñ nikle
dast-e-chālāk junūñ siina ko bhī kar de chaak
tā kahīñ pahlū se mere dil-e-nālāñ nikle
kaun sī raat vo hove ki jo aave shab-e-vasl
kaun sā roz vo ho jo shab-e-hijrāñ nikle
gulshan-e-dil meñ bhī thī apnī kuchh ulTī tāsīr
tuḳhm-e-ummīd jo bo.e gul-e-hirmāñ nikle
kar nazar ruḳh ko tire kufr se nikle kāfir
zulf ko dekh tirī diiñ se musalmāñ nikle
jitnā kahte haiñ nikaltā hai 'hasan' ghar se tire
ġhusse ho ho yahī kahtā hai abhī haañ nikle