kisī mausam kī vo bāteñ jo terī yaad kartā huuñ
unhīñ bātoñ ko phir phir kah dil apnā shaad kartā huuñ
nahīñ ma.alūm mujh par bhī ye ahvāl apnī zaarī kā
ki maiñ misl-e-jaras kis ke liye fariyād kartā huuñ
ye dil kuchh aaphī ho jaatā hai band aur aaphī khultā hai
na maiñ qaid is ko kartā huuñ na maiñ āzād kartā huuñ
jigar jal kar huā hai ḳhaak aur tis par maiñ aahoñ se
jo kuchh baaqī rahe hai gard so barbād kartā huuñ
ġhubār-e-dil ko āb-e-teġh se us ke milā kar maiñ
na.e sar se imārat dil kī phir buniyād kartā huuñ
mire ābād dil ko kar ḳharāb us ne kahā hañs hañs
ki maiñ is mulk kā naam ab ḳharāb-ābād kartā huuñ
kabhī tere bhī dil meñ ye guzartī hai ki maiñ nāhaq
bhalā dil par 'hasan' ke itnī kyuuñ be-dād kartā huuñ