jaan meñ jaan tabhī qais ke bas aatī hai
nāqa-e-lailā kī jab bañg-e-jaras aatī hai
saath dekhūñ huuñ kisī ke jo kisī dilbar ko
maiñ bhī jī rakhtā huuñ mujh ko bhī havas aatī hai
qais o farhād ke rone kī jab aa jaatī hai lahar
koh-o-sahrā pe ghaTā jā ke baras aatī hai
zindagī hai to ḳhizāñ ke bhī guzar jā.eñge din
fasl-e-gul jītoñ ko phir agle baras aatī hai
jab qafas meñ the to thī yād-e-chaman ham ko 'hasan'
ab chaman meñ haiñ to phir yād-e-qafas aatī hai