jigar-e-soḳhta haiñ aur dil-e-biryāñ haiñ ham
sho.ale kī tarah sadā dīda-e-giryāñ haiñ ham
muttasil laḳht-e-jigar karte haiñ āñkhoñ se sadā
aah kis āshiq-e-ġham-dīda kī mizhgāñ haiñ ham
kabhī hañste haiñ kabhī rote haiñ jalte haiñ kabhī
gul haiñ shabnam haiñ ki yā ātish-e-sozāñ haiñ ham
ham meñ hī ālam-e-akbar hue go jurm-e-saġhīr
maz.har-e-jalva-e-haq hazrat-e-insāñ haiñ ham
dahr pur-shor hai hāthoñ se hamāre ai aah
āfrīnash meñ magar nāla-o-afġhāñ haiñ ham
fikr-e-jam.iyyat-e-dil ham ko kahāñ aah 'hasan'
ḳhātir-āshufta-e-gesū-e-pareshāñ haiñ ham