Meer Hasan

dil mera aaj mere pas nahin

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
dil mirā aaj mere paas nahīñ
mujh meñ kuchh hosh aur havās nahīñ
dil lagāyā jahāñ jafā dekhī
kyā balā ishq mujh ko raas nahīñ
paas hai yaas gard hai dil kī
aur ab koī ās-pās nahīñ
aap to apnā arz kar le haal
dil hameñ tāb-e-iltimās nahīñ
yuuñ ḳhudā chāhe to milā de use
vasl kī par hameñ to aas nahīñ
maiñ bhī kuchh ho gayā huuñ pazhmurda
dil hī merā faqat udaas nahīñ
kyā mile tujh se koī dil-dāda
āshnā.ī kī tujh meñ baas nahīñ
hai ġhafūrur-rahīm terī zaat
sab se hai yaas tujh se yaas nahīñ
ek Dar hai to dost kā mujh ko
dushmanoñ se to kuchh hirās nahīñ
tere ḳhātir ye sab se duur huā
tū bhī tujh ko 'hasan' kā paas nahīñ
Top Urdushayar.com